icon
icon(1)
icon
icon
logoForum - Akhiri waqt mein momeen ke
Hadees Pak | Akhiri waqt mein momeen ke
icon icon MONSTER icon *
Creator: * MONSTER icon
* Created by: Mayil 09, 2022 - Monday, 02:57 PM
Name: Akhiri waqt mein momeen ke
Hadith: Akhiri zamane mein Momeen ke khawab kam he jhoote honge aur sach bolne wale ke khawab sachche honge Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Akhiri waqt mein momeen ke khawab kam he jhoothe honge, aur khawab un logon ka sachcha hoga jin ki baatein ziyada sachhi hongi (yani jo hamehsa sach bolte hain), khawab teen qisam ke hote hain : Achche khawab jo Allah ki taraf se basharat hote hain, wo khawab jisay insaan dil mein sochta rehta hai, aur wo khawab jo shaitan ki taraf se hota hai aur gum ka sabab hota hai, lehaza jab tum mein se koi napasandeedah khawab dekhe to usay kisi se bayan na kare, usay chahiye ke uth kar Namaz padhe“, Abu-Huraira RadiAllahu Anhu kehte hain : Mein khawab mein qaid dekhna achcha samjhta hu aur berri dekhna bura samjhta hu, qaid ki tabeer saabit qadmi hain, Abu Hurarira RadiAllahu Anhu kehte hain : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : ”Momeen ka khawab nabuwat ka chiyaliswa (46) hissa hain“ .
---
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”آخر وقت میں مومن کے خواب کم ہی جھوٹے ہوں گے، اور خواب ان لوگوں کا سچا ہو گا جن کی باتیں زیادہ سچی ہوں گی، خواب تین قسم کے ہوتے ہیں: اچھے خواب جو اللہ کی طرف سے بشارت ہوتے ہیں، وہ خواب جسے انسان دل میں سوچتا رہتا ہے، اور وہ خواب جو شیطان کی طرف سے ہوتا ہے اور غم کا سبب ہوتا ہے، لہٰذا جب تم میں سے کوئی ناپسندیدہ خوب دیکھے تو اسے کسی سے بیان نہ کرے، اسے چاہیئے کہ اٹھ کر نماز پڑھے“، ابوہریرہ رضی الله عنہ کہتے ہیں: میں خواب میں قید دیکھنا اچھا سمجھتا ہوں اور بیڑی دیکھنا برا سمجھتا ہوں، قید کی تعبیر ثابت قدمی ہے، ابوہریرہ رضی الله عنہ کہتے ہیں: نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”مومن کا خواب نبوت کا چھیالیسواں حصہ ہے“۔
---
Abu Huraira RadiAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi wasallam) said: In the end of time, the dreams of a believer will hardly ever fail to come true, and the most truthful of them in dreams will be the truest in speech among them. And dreams are three types: The good dreams which is glad tidings from Allah, dreams about something that has happened to the man himself, and dreams in which the Shaitan frightens someone. So when one of you sees what he dislikes, then he should get up and perform Salat. Abu Huraira said: I like fetters and dislikes, the iron collar. And fetters refers to being firm in the religion. He said: The Prophet (Sallallahu Alaihi wasallam) said: 'Dreams are a portion among the forty-six portions of Prophethood.
---
Jam e Tirmazi#2291-Sahih
Share (0)
No comments in the topic
*
* Forum | Islamic | Hadees Pak
* Home
© www.pak4m.com - 2024.
Online: 0 & 7 | Mobile version
About Us | Contact Us | Privacy Policy | Terms & Conditions
PGen: 0.02 Sec
© Pak4m.Com